UN Volunteer logo

UN Volunteer logo
I, Vaibhav Garg am a United Nations Online Volunteer.Are you? if not, Join the UN organization and help to make a difference in the world.

Monday, November 28, 2011

Kashish



ek kashish hai, ek sasak hai uski aankhon mein,
Khud ko chupati, pehaliyaan bujhati hai woh baaton mein.
Jaane kya kasak hai uski adaayon mein,
ki khud hi khicha chala jata hu main uski bahoon mein.

Darti hai , ghabrati hai, aur thoda sa sharmati hai,
Massomiyat hai chehre mein, par jaane kyu chupati hai.
Kehti hai hu badi nidar aur chalti hai apne path par,
par dhoonde woh kuch jawaab raah raah dagar dagar.

Hain bahut dard chupa mann mein, par fir bhi muskurati hai,
Jeevan hai ek kadhor sangharsh, khud ko woh samjhati hai.
Naraaz hai tujhse wo aye Maula, par nahi tujhe dikhlati hai,
Tunhe jo diya hai jaam, bina dekhe piye jaati hai.
Thunderbolt pic taken from wallpapers-diq.com

4 comments:

  1. This is a beautiful one...
    ishq aisa hota hai jab hota hai,
    Saansen tham jaati hein,
    Rooh ka sakun kho jata hai...

    In lafzon mein chupa hai tera dard
    Lagta hai yeh Ishq dheere dheere tumhe bhi hua hai...

    ReplyDelete
  2. @ Shraddha- Waah!! Kya gehrayi hai aapki baaton mein :)

    ReplyDelete
  3. @ dreamy- Thoda shayarana andaaz apnaane ki koshish ki thi :)

    ReplyDelete